Tuesday, September 29, 2009

ai bhai zara dekh ke cchalo (02)

ooper dye gai nayab nuskhay intehai darjay ke mazloom hasti qisim ke bhayoon ke lye hain normal halat main in ko na aazmaya jai, aur khas tuor per woh hazraat jo ke shoher ka matlab "majazi kuhda" ke siwa kkuch bhi nahin samajhtay .is se khud ko door rakhen .....otna he jitna woh is haqeeqat se door hain, ke biwi ke lye bhi Allah ne haqooq rakhay hain sirf aur sirf faraiz nahin agar sirf south asia ke shoher hazraat ki he baat ki jai tu ,is majazi khuda ki jaden "pati permeshwar" se ja ker milti dikhai deti hain ,jahan aurat ki sari zindagi is sawal ka jawab dhondtay he guzar jaati hai ke "kya khuda hai tumhara hamara nahin "aur os ki ouqaat pati ki zindagi main os ki daasi ur pati ke marnay per sati ke siwa kuch na thi ,aur kyon ke on ilaqon main beti ka virasat main koi hissa ya haq nahin hua karta tha is lye ,ladki ke maikay walon se zyada se zyda raqam enthnay ke bahanay,pehnaoni ,goud bharai, chouthi, chati , chihllay type ki rasoom ki bunyaad padi ,jis main mustaqil lidki walay beti ki paidaish ka bhuktaan bhartay hi nazar aatay hain aur ,isi lye larki ke paida honay per baaz ilaqon main hasb e toufeeq mon bisoora jata hai , .........pakistan Islam ke naam per wajood main aaya, lekin yahan per ye rasoomat kis tarah wajood main aain ,balkay din dugni ur raat chougni tarraqi paain,pehlay tu puranay zamanay ki jangon main ,dushmano ne ,tamaam qeemti aloom chura lye,ur baqi kutb khanay nazar e aatish kar dye ,phir hijrat ke waqt jo kasma pursi ka aalam tha ,jaan o maal bachana mushkil tha tu kitaben kyokar saath la saktay thay,bus ye rasam o riwaj lay aai aur yeh bhi aisay sawar huin jese kashti e Nooh mai shaitan gadhay ki dum se latak kar sawar hua tha,aur hamaray aaba o ajdaad ne bhi, akhri ,ikloti bach janay wali oulaad ki tarah andhi mohabat ki,baad main hum nay is main mazeed tarraqi ur jiddat paida ki, jin ke tehet kuch khud sakhta haqooq bhi wajood main aai jin ka pehla asool hai "main"dosra meri marzi ,teesra ......


jdher dekhta hon udher main he main hoon


faraiz teray, haq pay bas ,main he main hoon


main shuk tujh pe karta rahoon ,haq hai mera


ke izzat ka teri ,nigeh baan main hoon


main khud mehjabeeno pe. ho jaon lttoo


guman bhi na karna. ke beimaan main hoon


agar jaan bhi de de ,bachon ki khatir


magar haq mera he hai ,ke baap main hoon


ye dukh, teri taqdeer main he likhay thay


na ye soch ke, in ka samaan main hoon


faqat teen lafzon ki ,muhtaaj hai tu


tu qadmon main aur ,tera sar taaj main hoon


Is baat se tu kisi bhi soorat inkar nahin ke Allah ne mard ko aurat se zyada darjah dya hai ,jin ki kai wajoohaat hain ,lekin Islam ke naam per haq ka intehai ghalat istemaal ,na tu on logon ko zeb deta hai jin ko nasirf Allah ne ilm dya balkay amal ki bhi toufeeq di,aur on ko tu bilkul he nahin jo islaam ke paanch buyadi arkan main se sirf pehlay ,yani ,kalmay per he amal kar paatay hain, woh bhi sirf is lye ke ,paida musalman ke ghar hue,aakhir ke do yani zakwat aur haj tu agar mali tur per mustehkam nahin tu khud he exampted, ur darmyan ke baqi do namaz aur roza, tu khud he Allah muaf karay ga ka fatwa, ho sakta hai shroo main zameer kuch malamat karta ho lekin os ko bhi ,koi lori, koi lara ya pill de kar apnay tour per sulanay main kamyab ho jatay hain .............lekin zameer tu kya khud bhi , chain ki neend nahin so paatay kyon ke insaan do cheezon se mil kar bana hai "matti" aur "rooh".matti ke khrab hone ki gunjaish hoti hai lekin rooh ,bharpoor zoor lagati hai ,insaan ko burai se bachanay ke lye,isi lye aksar log ,mustaqil bechaini ur confusion ka shikar dikhai detay hain ,sakoon e dil ke lye kabhi namaz ki koshish bhi karen tu shaitan os taraf janay he nahin deta,......shaitaan aata kahan se hai ,ye aata nahin hai balkay rehta he yahin hai ,apni badi si kothi main ,jo ke aap ne khud he os ko bana kar di hai, kyon ke aik insaan ke dil ke do hissay hotay hain ,aik main farishta rehta hai ,insaan koi bhi naiki karay ,farishtay ka rehaishi hissa barh jata hai aur noor bhi, kyon ke ye noori makhlooq hain ,beshuk chotay lekin naik nyati se kye janay walay kamoon ki badoulat, aik waqt aata hai ke dil aur dimagh ur bila shuba, naseeb bhi roshan ho jaata hai, lekin is ka ye matlab nahin ke shaitan ki chutti ho jaati hai ,vasvasay tu aatay he hain,kyonke shaitan apni chonch se insaani dil main in ko gher mehsoos tareeqay se dalta rehta hai, lekin on ko ignore karna ,ya in se nimatna aajata hai ,is ke bar aks jab ,insaan koi bhi ghalat kaam karta hai ,tu shaitan mogembo khush ho kar os ke dil per aik syah stamp laga deta hai ,goh ke touba se is dhbbay ko dhoya ja sakta hai lekin ,sekron bahanay ,hazaroon masroofyat aour taweelat ,barabar ye stamp wasool karti he rehti hain ur phir jab dil poori tarah ,kala ho jata hai tu ,woh soch ,dil dimagh aur aankhen wajood main aati hain ,jin ka brand name hota hai "main"aur ab yeh dil aik aisa grha bun jata hai,jahan shaitan apni chonch se ,ikka dukka vasvasay nahin dalta balkay ,aag ki ultyan karta hai ,jo on tamaam rishton ko jala kar raakh kar deti hai ,jin ko panapnay ke lye mohubbat ki chaon aur etebar ki aabyari chhaye hoti hai, is ki member ship ki bunyadi shrait ye hai ke aap bhool jain ke aap ki biwi bhi Allah ki he makhlooq hai ,aik insaan hai,jis ki alag soch ,samajh ,salahyat , fitrat aur izzat e nafs bhi hai,Allah ne dunya main us ka bhi hissa rakha hai...........................kehtay hain ke zamana badal gya hai ,badal raha hai ,tezi se tarraqi kar raha hai ,......shayad is tarah badal raha hai ke in bunyadi masail per soch kar in per qaboo paanay ke bajai ,in ka shikar honay wali khawateen ke lye , zyada tadaad main ,shelters ,counselors ,daarul amaan waghera kholay ja rahay hain , lekin ye tamam iqdamat waqti saebaan tu ho saktay hain lekin koi mustaqil hal nahin,..........zaroorat shayed hai on faraiz ki adaigi ki maaloomat ki jo "main" ke bojh talay dab gain hain ,tub shayed baaz ,afrad ka guman door ho sakay ke "Main" ki power tu sirf Allah ke paas hai ,ur sirf musalmaan ghar main paida hona he jannat ka viza nahin ,kitni he jaga Quran e pak jannatyon ke baray main bata raha hai ke , jo musalmaan hue ur jinhon nay naik kaam kye, jo musalmaan hue ur Allah se dartay rahay,.......hamari sab se badi khami ye hai ke nasirf khud hum Quran ka tarjumah nahin jantay ,balkay bachon per bhi zor nahin dete,ye jantay hue bhi ke insani fitrat o adat bachpan main he ban na shroo hojati hain tu kuch soorton ko tu bachpan main he tafseer ke sath zehen nasheen karwa dena chahye ,jese ...(soratul humazah)=(Kharabi hai os ke lye jo logon ke mon per aib karay aur peeth peechay budi.jis ne maal jora aur gin gin kar rakha ,kya ye samajhta hai ke yeh maal osay dunya main hamaisha rakhay ga ,hargiz nahin zaroor woh rondnay wali main phenka jai ga ,aur tu ne kya jana kya hai woh rondnay wali .Allah ki aag hai ,jo ke bhdak rahi hai ,woh jo dilon per charh jai gi ,bay shuk woh on per band kar di jai gi ,lambay lambay satoonon main)


Waqt ke saath aik tabdeeli jo dekhnay mai aai hai woh ye ke ab kisi bhi ajah se khwateen ko dobara ghar basana par jai tu itni mushkilat ka saamna nahin karna parta ,aik do bachay bhi hon tu ,shadi ho jati hai ,,bazahir tu bohut he acha rujhaan hai ,lekin tab tak jub tak ke har aik ke haqooq hasbe toufeeq ada kartay rahen ,(soratul mauoon)=(Bhala dekho tu jo deen ko jhutlata hai .phir woh hai jo yateem ko dhakkay deta hai,aur miskeen ko khana denay ki raghbat nahin deta.tu on namazyon ki khrabi hai ,jo namaz se bhoolay baithay hain ,woh jo dikhawa kartay hain ,aur baratnay ki cheez mangay nahin dete).........waqt aur umar ke saath aankhon per aik bareek parda sa aanay lagta hai ,jis ka aasan sa ilaj ,leser ,spacs ur lens hain lekin zindagi ki galyon main mater gashti ke douran agar in aankhon ke ander "main" ki dhool aajai tu os ka ilaaj bda mushkil hai ........rishton main darad ki bohut sari wajoohat main se ,ghar ki baten baher walon ko batana, fasadi ur bewaqoof logon se mashwara karna ,dosron ki begmaat se comparison karna ,dosray ko seray se safai ka moqa he na dena ,ur apnay ghussay ur zabaan ko bay mahar chor dena bhi shamil hain ,choti si "mai" ka beej tu shayed, sub he main hota hai jis ko insan positivly self esteam aur self confidence aur self respect ke kaam laata hai ,lekin kab confidence over confidence banta hai ur kaisay gharoor main badal jata hai baaz log jaan nahin paatay ,aur phir badkain marna ,dosron ki beizzati kar kay mutmain hona ,kisi ki bhi parwa na karna ur apni baat ko har tarah se foqyat dena ya kisi bhi qeemat per manwana ,apnay aap se munsalik logon ko is had tak thaka deta hai ,balkay badzan kar deta hai ke phir woh aap se door hotay jaatay hain ,shaitan mazeed qareeb maye waswasoon k, yahan se farstration aur safocation ka silsila e azeem shroo hota hai ,jo tabad toud ghaltyon ko janam deta hai ,aur khas tour sai bachon ke hotay hue ,her aik ghualati aisa qarz bun jaati hai jis ka sood he chukana namumkin hota hai asal ki bari tu baad main aati hai,aaj ka kya hua aik ghalat faisla aglay panch se bees saal tak ko nukhsaan pohncha sakta hai .Allah tala hum sab ko is baat se bachai ke shyateen aakar hamaray paas baithen hamen behkaen ya bhrkaen.AMEEN

No comments:

Post a Comment