Monday, July 6, 2009

SADGI/NADANI/GHFLAT PART (02)

Ur waqi work out ke shroo ke 20 tu kya 10 balkay 5/6 minute bhi itne taweel lagtay hain ke insaan sochnay per majboor ho jai ke din bhar ke 24 ghantay kahan chalay jatay hain pata hi nahin chalta , dekha jai tu ye bhi maqame shukr hai kyonke kehte hain sukh ke lamhon ke per hote hain phur se ud jate hain ur dukh ki ghadyan langdi hoti hain guzarnay main bada waqt leti hain....................... Tu agar aap ne apne aap ko raazi kar lya hai work out ke lye tu bas phir kisi bhi DVD ,T.V ya internet se madad li ja sakti hai kyonke gym ko afford karna har aik ke bas ki baat nahin ,haan walk kafi log kartay hain lekin aik tu Canada ka mousam....sari sardi garmyon ka intezar kya jata hai ur garmyon main kabhi barish ,kabhi picnic /party ,tu maire nazdeek walk kabhi kabhi mil jane wala bonus hai lekin walk ke douran log is qader aajzi ur inkisari ka paikar bane hue hotay hain down to earth ,na chin uoper na kamar seedhi na pait ander .....work out ke douraan bhi kafi baton ka khyal rakhna bohut zaroori hai, shroo hamaisha halki phulki exercise se karen ,kam waqt ur kam counting ke saath start karte hue gradualy badhatay jain ,har roz na karen har bar aik si na karen ur aik hi hissay ke muscles ko foran strong karne ki jang na karen tissues zakhmi ho saktay hain ,saath hi jazbati ho kar weight reducing medicines ya totkay na shroo karen warna achanak se kamzori ke baes na sirf kisi bhi beemari ke daboch lene ka imkan hota hai balkay hosakta hai ke phir dobara himmat hi na ho paay, bus slow and steady wali hikmate amli jari rakhen kyonke aik tu aap ko modeling nahin karni ,na he kisi se muqabla hai ke falan ne tu itna kam kar lya ,aap ko health maintain karni hai figure nahin ,aap ke apne ghareloo, nafsyti ,ya muashi masail bhi saath saath he hain ,jinhen aap ko balance kartay hue aagay badhna hai ,ye dekehen ke aap ka apna frame kya hai, small medium .......ya hosakta hai ke aap ki body dair se kisi bhi baat ka asar leti ho is lye fori ya hasbe mansha result na milne per fikrmandi ya dil chota karne ki koi baat nahin, aap ne puri koshish kar li hai tu befikar ho jain Allah kisi ki mehnat ko raigan nahin karta, har bar work out se qabl khud ko zehni tour per tyaar rakhen. subha se lekar zawal ke waqt tak koi bhi waqt zyada tezi se farq dalta hai sham main assar ka waqt bhi isi tarh se faida deta hai ,nashtay se pehlay zyda behter nataij milne ki umeed ki ja sakti hai lekin agar nashta ya khana kha lya jai tu phir teen ghantay ka waqfa zaroor den ,haan work out ke baad kuch bhi khana ho tu 20 minute ka waqfa kafi hai phir koi bhi helthy food istemal karen bus thanda na ho,is tarah kabhi bhi aap ke muscels bohot dard ki shikayat nahin karen ge, baad main garm paani se naha len ye mazeed therapeutic sabit hoga ,sone se qable work out na karen ur raat ka khana hamaisha sone se kam az kam do ghantay pehlay khane ki aadat dalen is se dosra faida ye bhi ho ga ke aap ki samaat (listening) mehfooz rahe gi,aik choti si dua work out se pehle kar lya karen tu INSHAALLAH kabhi bhi unpredictable injury nahin ho gi,balkay har kaam se pehlay kar leni chahye ke "ya Allah mujhay is kaam ki khair ata farma ur is main chupay shar se bacha "ur last main haath, paer ur full body ko stretch out karna kbhi bhi na bhoolen ,warna aap os dard ko kabhi bhi nahin bhool paen ge jo is choti si bhool ka sabab ho ga ur jub apni dard bhari dastan kisi humdard ko sunain ge tu pehlay ye chinese whisper main tabdeel ho gi ur baad main myth bun jai gi ke work ke after efect bohot takleef deh hotay hain, chor do tu pehlay se zyda motay ho jatay hain ,skin latak jaati hai ,muhray sarak jatay hain ,gardan akad jaati hai....................abhi kaam shuroo nahi hua tu chhor denay ki baat -






Jahan tak zyada dard ki baat hai aik tu apna blood count nazar main rakhen takay jo bhi deficieny hai us ki medcation bhi saath main jari rahay ur mazeed behter nataij samne aain ur dosra kisi bhi exercies ke douran running shoes her soorat pehnen ,spinal cord ki koi bhi problem ho tu pehlay hi docter se mashwara kar len, gardan is lye takleef main aajati hai ke jab pait ke lye crunches kye jatay hain tu bajai pait ke muscle per zor dene ke sara zor gardan ko uthane main laga dya jata hai tu phir masoom gardan ka ehtejaj ghalat tu nahin hota.lekin aisi koi bhi ghalati kar baithen tu physio therapy karwane main dair na karen ur onhi se apni ghalati ko sudharne ka tareeqa bhi poch len,tu woh aap ko guide zaroor karen ge.during work out hamaisha naak se sans le kar mon se nikalen,pait ke muscles ko ander kheench kar rakhen balkay ye aam halat main bhi aadat bana len.jub bhi position set ho jai ,chin uoper rakhen ur aankhen khuli rakhen, seedhay rukh per ye naho ke agar T.V dekh rahay hain tu nazren wahin per hon,jub aap ki body ko aadat ho jai warish ki tu phir dheeray dheeray dumbles use karna shroo karain,lekin in ka wazan ur douranya gradually badhaen, ye soch bhi bilkul ghalat hai ke dumbles khwateen istemal karen tu un ke muscles bun jatay hain ,kabhi suna hai ,ke kisi ki bhi naani daadi ya un se pehlay ki khwateen muscular thin ,jab ke kitne hi bhari bharkum kaam sinf-e-nazuk hi anjaam dya karti thin ur mazay ki baat ye ke un ko apni glowing skin paanay ke lye kisi beauti parlour nahin jana parta tha yeh tu is dour ki zarooryat hain ,ur waise bhi ye koi faqua kashi program tu hai nahin is lye inshAllah in se faida he hoga nasirf muscles mazboot honge wazan tezi se kum hoga balkay toning bh hogi...............






Ab kuch baat mazhab ke hawalay se bhi ho jay ,kuch islye ke Islam aik aisa fitri zabta-e-hyaat hai ke aam zindagi se is ko alag kya he nahin ja sakta isi lye kuch baaton ka zikr pehlay aagya ur kuch per aik sarsari nazar daal letay hain ,Jaise hum waqt ko bohut ahmyat dete hain har lehaz se hi ,tu aap aik singr ko le len ya, jogger ko ya athlete ko sab ka kehna yehi hai ke sooraj nikalne se do dhai ghantay pehlay reyaz ka ya kisi bhi mashq ka jo result milta hai woh din ke kisi ur hissay main itna behtreen nahin milta. Islam main namaz ki pabandi per tu zor hai he lekin fajar ka waqt wohi sooraj nikalne se do ghantay qabl,ur fajar ki namaz ka jo swab hai woh kha jata hai ke agar kisi dono haath pear se mauzoor shakhs ko maloom ho jai tu woh bhi ghutnon ur kohniyon ke bal ghisat ta hua masjid pohnchay ga.ur namaaz kitni sirf do sunnat do farz.ur os ke baad bhi sone ko mana tu nahin kya gya lekin saraha bhi nahin gya ,kyon ke ye bada barkat wala waqt hota hai Quraan khud batata hai ke farishtay hazri detay ur quraan suntay ur os per gawahi detay hain, ur ye badi mazaidaar baat hai ke agar aap fajar ke baad kisi wird ke aadi hain tu thoray neend ke khumaar ke baes deewar se tik jaatay hain ....................ur ab sans ki mashq shuroo "deewar se take laga lijye ,naak se saans andar mon se baher" -deen dunya aakhirat sare meter down ya agar Quraan-e-pak parhtay hain tu phir us ka tu tareeqa yehi hai ke teher teher kar ur aik aayat ko shuroo karne se qabl sans adar lena takay puri ayat mukamal ho sakay ur,parhnay ke douran khud hi sans bahar, phir sare meter down (deen ,dunya aakhirat).isi tarah din ki baqi namazon main bhi kai raaz chupay hain ur jaise namaz janat ki kunji hai waise hi wazo namaz ki chabi,jis ke har step main sehat ke raaz chupe hain jis ka aaj science bhi eteraaf karti hai ,ur wazo se pehlay safai ur taharat ki zaroorat hoti hai ,jo najane kitne he qism ke infections se bachata hai ,namaz ke ehtemam ka mutlab,kapdon per istari karna nahin balkay os ki roh ko ur insan ki bhalai se juday hue nizam ko samajhna hai.namaz ka har rukn(step) yoga ke aasan main bhi istemal hota hai ur dono main sajday ki position per bada zor hai ,kyonke is tarah dil o dimagh tak douran khoon kam karta hai .sajday ki asal rooh dil main aajizi laana hai, ur isi aajizi ur taqwa ka sabaq hamain har saal pura aik maheena ramazan main bhi sikhaya jaata hai ,lekin sochne wali baat yeh hai ke har saal, har roz ,ur din main kai baar milne wale in mawaqay se hum kitna faida hasil karte hain, bhagum dour ki namaz , bai giti ki uthak baithak he bun kar reh jaati hai ya waqui koi sajdah is dil ko aajizi bhi sikhta hai ?kya is dil se nafrat kadoorat ur taasub door ho pata hai?ur jo sir sajdeh main jhukta hai us ke neechay ana, ghuroor,bughz keena, ur hasad kuchla jata hai, ya yeh sar kabhi ghamand se khali hi nahin ho pata ?.........such hai ke hum ghuor hi nahin kartay ,na hi shukr kartay hain na he kisi bhi pukhta aadat ko badalne ki nyat tu phir "Peer-e-tasma pa"tu hamri apni he tamaam ghalatyan ,nadanyan, ur chashmposhi hain jin ko aik jaga jama kya jai tu sirf aik lafz banta hai "MUJRIMANA GHUFLT"

No comments:

Post a Comment