Wednesday, July 8, 2009

Sadgi,Nadani,Chshm Poshi Ya Mujrimana ghaflat(01)

Guzishta dinon aik report main bataya gya ke Asians sub se zyada dil ke aarzay ka shikar hotay hain jin main Indians pehle ,Pakistani dosray ur Chinese teesray number per aatay hain-dunya ki baqi qoumon ke saath insanyat ke natay hamdardi hi ki ja sakti hai lekin apnay logon ke lye fikr karnay ka huq ur farz dono he bantay hain-is lye jo kuch bhi mehsoos hota ahi yani hamari khamyan kotahyan ya phir woh behtreen mawaqay jin se hum bharpoor faiday hasil kar saktay hain lekin nazar anaz kar dete hain- bade ikhlas ke saath aap ki nazar hain ur zyda saliqay se samajhne ke lye is ko aagr hum teen hisson main taqseem kar den yani "hamari khoorak", "soch" ur "mazhab' tu Shayad ke tere dil main uter jai meri baat ,kyonke abtak beshumar zaray se aap tak ye baat pohnchi tu zaroor hai ke munasib khain warzish karen..........lekin woh jo bachpan ki baten hain zehen main aisi beth jati hain ke phir hamaisha aap ke sath he rehti hain chahay aap pachpan main pohunch jain ("Baby the more you eat the more you grow"or"the more you eat the stronger you get")ur baby, dady tu kya dada bhi bun jatay hain ur agar khatoon hain tu kamar kamrah ho jai tub bhi lashaori tur per baaz ouqaat is baat ke tabay rehtay hai phir chahay aap ka docter aap ko rokay ya chahnay walay tokain yahan tak ke barson se Aarif Lohar chimta baja baja kar ur Saleem jawaid dhol peat peat ker samjha rahay hain ke "gai jawani mud nai aandi lakh khorakan khayye"lekin zaban ka chaska bhi waqi bri cheez hai,ur ye baat bhi maan ne wali hai ke Pakistani khanay hotay he lazeez hain tu is ka aik aasan sa hal tu aik choti si sunnat per amal bhi hai k khane se pehly pani pyen ur thoda darmyan main bhi saath he koi myyessar ho tu halki phulki gupshup bhi karte rahen ur khane ke baad pani napyen -ye thoda mushkil lagta tu zaroor hai lekin jub adat ho jati hai tu is nuskhay ki ahmyat bhi samajh aajati hai, scientific reason is ka ye hai k hamaray dimagh ko pait bharne ka paigham khane ke 10 minute ke baad milta hai (kitni ajeeb baat hai na ke hum doosron ki tu nyyat tak ko foran bhanp kar koi bhi ilzaam lagane se nahin chooktay lekin hamaray apne he system ka message milnay main hum ko 10 minute lag jatay hain...............is this funny or humiliating?)baharhal khane se pehlay pani peenay se pait us satah tak bhar jata hai ke jis ke baad munasib ur hasbe zaroorat khurak aap ko mutmaeen kar deti hai ur baad main pani na peenay ke baes kuch dair tu ghiza ka zaiqa hi zabaan per rehta hai ur kuch dair baad pya janay wala pani har tarah se faidamand sabit hota hai - nasirf ghiza ke zarye khoon bananay main madad karta hai balke motapay se bhi bachata hai aap ko kisi bhi second helping ya snaking ki zaroorat nahin rehti-




ab agar hum saath main ye ehtemem bhi kar len k maida,chawal, oil ur shakar ka istemal bhi kam kar den.......tu phir reh kya gya? yehi na! jub aap ye cheezen kum karen gai tub he tu pata chalay ga ke qudrat ki kai nematon ko hum siray say nazar andaz kar detay hain ,waisay ye baat tu kafi log mantay hain ke sweet dish ki bajai fruit behter rehte hain ,lekin is per bhi amal karne ka koi faida ya farq is lye nazar nahi aata kyonke waqt ur tareeqa durust nahin hota-agar hum raat ko fruit kha kar so jatay hai tu is ki suggar stay karti hai ur khanay ke foran baad istemal karnay se ye gadbad hojati hai ke khane ur fruit ke hazmay ke lye enzymes alag alag hotay hain ye baat bhi kai log jante hain ke Bar B Q chiken ka istemal dieting main bada karamad sabit hota hai lekin bharpoor zaiqay k lye tu naan ur cold drink ke baghair is ka tassawar bhi mumkin nahin bus tu phir fizzy drink main shamil soda+6tsp suggar ur naan main moujood khameer,shakar oil ur maida aap ko ye sawal karne per majboor kar den ge ke kitni he dietting kar lon lekin na jaane wazan kum kyon nahin hota?ye baat bhi qabile ghour hai ke diet drink dil ke lye zyada nukhsan de hoti hai,ur roti ke bina agar mukkammal khane ka ehsas nahin hota tu chakki ke aate ki roti istemal karen(waise chakki ke aate ki ahmyat tu do teen decades qabl hi jungle jungle phirne wale dakoo "Gabbar singh" ne bhi jaan li thi tub hi tu bechara gaon walon se address maloom kar raha tha k "koun si chakki ka aata khate hain")


hamare baaz khanon main tu chiknai ka bohut hi zyada istemal hota hai-kyonke, qourma tu maza he nahi deta jub tak ke ghee ki do inch moti teh main ghouta zani ke baad tar batar sheer maal boti na nikaal lai,kabhi kabhi tu chalta hai, lekin hamare yhan aksar log aadi hotay hain,nihari, paaye, biryani, pizza, lasagne ur kabhi daal bhi hotu khoob tadkay wali, sabzi ur saag ke saath roti per desi ghee ya makhan-jaain tu jaain kahan-hamara tareeqa ye hai ke bhook zyda ho tu kisi ur tarah is ko kum ya khtum karne ki bajay hum mazeed do roti ya chawal he khana pasand kartay hain is ke alawa na tu hum kuch jaantay hain na hi janna chahtay hain, halaanke mukhtalif ajnass ur daalon ko apne taste ke hisab se kuch raddobadal ke baad istemaal kya ja sakta hai lekin ,jou (oat) ko hum sirf haleem main he dalna jaante hain ooper se tadka, baisan hai tu phir saade pkode aloo ke,palak ke ....... maash ur moog ki daal tu janami hi dahi bdon ke lye hai,(phir deep frying ki maar), gajar ka halwa =irresistable, gulab jamon=unbeatable,koonday ki tikyan=unforgetable-cake ur samoson ke bina sham ki chai udaas lagti hai ,ur chutti ke din nashtay main puri na ho tu subh bakwas lagti hai (wah , wah .....)aisi kai cheezen hain jin ko hum chah kar bhi poori tarah se tark nahin kar saktay,kyonke bachpan sehamare taste buds in zaiquon ke aadi ho chuke hain ,haan do tarah se samjhota kya ja sakta hai, aik tu oil kam se kam kar ke(kuch guide lines alag se de don gi take khana pakane se jin ka taluq nahin hai woh bore na ho jain) ur dosra kum miqdaar main kha kar yani hamari plate ,khanay ke pahadi silsilon ki bajay maidani ilqa lage ,waise bhi jub hum kum khana lete hain tu plate ko achhi tarah se saaf karte hain ,jis se aik tu nasifr khana zaya karne se bach jatay hain balkay zyda ghizzayat bhi paatay hain kyonke tamam ghizaiyat tu plate ki satah per he teher jaati hai ,tu jub poori plate ssaf kartay hain tu nasirf thodi khurak main hi mukammal ghizayyat milti hai balke buzurg kehtay hain ke plate dua deti hai ke ya Rab jese is ne mujhe saaf kya tu gunahon se ise saaf kar day.is tarah khana khanay k baad bhi fresh feeling rehti hai,tu phir kya faida aise maze ka jo waqti tur per tu achha lage lekin baad main tabyat sust, bojhal ur nidhal ho jai ..Agar aap ko baar baar bhook lagti hai tu ek do baar bhook lagne per pani pi kar dekhen kyon ke kai bar dimagh ko pegham ghalat milta hai hamain zaroorat pani ki hoti hai ur bhook ka signal paatay hi hum khana shroo kar dete hain,ur hamare gurday bezaban, becaray pani ka intezar hi kartay reh jatay hain -koi masroofyat ya mashghala dhoond nikalen ,ya gum khain ur suggar bhi test karw len -docters kehtay hain ke apni aik din ki calories ko kum uz kum panch hisson mian taqseem karen taake na hi bhari pun ka ehsas ho na hi craving pareshan kare -jub ke hakeem hazraat is per muttafiq hain ke khana tub hi khain jub khoob bhook lage, ghee ur makkhan k apni zindagi se bilkul hi alag na kar den ke phir aanten khushki ka shikar ho jaain jo ke bazaate khud bohot sari tkaleef ka paishkhema sabit hoga -aur bar bar khate rehna bilkul aisa hai jaise koi aik hi bartan main chawal uobalay phir os main mazeed kache chawal daal de phir kuch ur chawal daal de tu nahi pehle wale cawal kisi qabil rahen ge na hi baad wale gal saken ge -ub ye aap per munhasir hai ke aap ko koun sa formula apne lye behter lagta hai ---waise filling ke ehsas ke lye hazaron khoobyon wali aik herb ispoghol bhi hai lekin is ka tareeqa-e-istemaal durust hona chahye yani 1tsp se le kar 2tbsp tak jitna aap ka hosla ur zaroorat ho aik cup kafi garm doodh ya pani main dalen ur kuch der os ko phoolne den jub kheer jesa ho jai tu pi len jin logon ka pait mustaqil kharab rehta ho woh thnde pani ya kisi bhi mashrob main le sakte hain -yahan aap ke zehen main ye sawal zaroor aa sakta hai ke ye neem hakeem khatra-e-jan koun hain jo mustaqil apne muft mashwaron per aamal karne per zoor de rahi hain, koi docter?, koi hakeem?nutritionist ya dietition? tu jawab hai ,ji nahin in main se koi bhi nahin, lekin aaj ke itne maloomati dour main aik biwi aik maa ko itni maloomat tu honi hi chahyen ur waise bhi hamare buzurgon ne hamesha inkisaari ka dars dya hai azeem sufi shayer Baba Bulleh shah ko hi dekh len itni qablyat ke bawjood kehtay hain ke "ki jaana main koun" tu phir meri hasti hi kya hai -kher hum khoorak ki baat kar rahe thay ur kum khane ki tu hamari baaz khwateen aksar shikayat karti nazar aati hain ke main tu zyada khana leti hi nahin phir bhi na jaane kyon wazan badhta hi ja raha hai tu "naiki kar darya main daal" ke masdaaq woh us khane ko kisi hissab main nahin rakhtin jo woh naik nyati ke saath is khouf se ke bachon ka chora hua khana zaya hoga, gunah hoga tu woh "voluntairily" kha leti hain , nap ya qeloola bohot faidamand hota hai lekin sirf 20 minute tu agar bachon ke saath raat ki neend poori nahin hui tu os waqt poori kar leti hain ,bus yahan thudi gadbad hojati hai ---------
khorak per kafi baat ho gai ab hum Amm Zinagi Main Hamari Soch :per bhi aik nazar dalte hain -family values ke hisab se tu ye badi achhi baat hai k hum apne buzurgon ke kaam aage badh badh kar karte hai balke onhen karne hi nahin dete lekin ye baat un hi ke lye nukhsaan ka baes bun jati hai, dheeray dheeray un ke muscels nakara hone shroo hojatay hain ur musalay khaday hona shuroo ho jaatay hain, woh becharay khud ko nakarah ur boujh samajhne lagte hain agar deppretion main chalay jain tu nikalna mushkil ho jata hai, is lye nasirf un ko maqdoor bhar kaam karne den balke hosla afzai karte rahen. buzurg chunke afzal hain is lye pehlay tu ho gai un ki baat, ab un ki karte hain jo seedha jawani se budhapay main chalang lagane ka shouq rakhte hain na jaane kyon zindagi ki door ko itni tezi se kheenchna chahtay hain ke middle age jesay sunheri dour ka maza hi kirkira kar lete hain halan ke uomooman is dour main hamaray yaahan ,hum apni zindagi ke tamam marahil nimta chuke hotay hain, shurooat ke ikhtilafaat,bachon ki paidaish se lekar un ki parwarish ,parhai main madad ur har waqt nazzar rakhna un ki teemardaryan karna. middle age ka dour tu bilkul midway resturant ki tarah ka hota hai jahan aap pichhlay safar ki thakan ko door kartay hain apni gadi ko har tarah se theek kartay hain ur phir se fresh ho kar nai sire se safar ka aghaz kartay hain (with a positive approch)-lekin hamare yahan aksar ghron main ye jumlay ada kye jatay hain ke ,"bhai ab tu shaadi ho gai ab kis ko dikhana hai ? Allah ko ? tu yaqeen karen ke agar aap ki niyyat ye ho ke Allah ke shukr ke tour per , os ki ata ki hui sehat ur jism ka aap khyaal ur hifazat kar rahe hain tu ye bhi naiki hi hai ,ur agar aap ka irada ye hai ke aap sirf dua tak hi mehdood nahin ke "YA Allah mujhe kisi ka muhtaaj na karna "balke is ke lye puri koshish bhi karen ur bajai is ke budhapay main log aap ki madad karen aap khud logon ke kaam aain ya kam az kam apne hi kar paaen phir woh alag baat hai ke taqdeer main hi koi aazmaish ya imtehan aajai ,(Allah taala humsab ko aafaton ki mushaqqat ur aazmaishon ki sakhti se mehfooz rakhe AMEEN)...............................Bahar haal shadi ke char panch saalon ke baad se hum apna khyal rakhna dheeray dheeray kam kartay huye bilkul hi chor dete hain ,kapday tight hone lagtay hain tu aik do number ka size zyada le lete hain ya silwate hain tu faqat yehi tu kehna hota hai ke "master saab "zara" do inch lose rakhye ga" (isn't that odd time to lose your own weight?) khawateen tu phir bhi baqoul shayer "Jo Bhi Kuch Hai Muhabbat Ka Phelaaaow Hai) ke zumray main aati hain lekin mard hazraat?,insaan waqi bada hi jald baaz hai, hum bachay hotay hain tu baday hone ka shouq, baday hue nahin ke shadi ka shouq,ur shadi hui nahin ke apne bachon ka shouq ur ginti ke itne pakkay ke 39 ke hue nahin ke sineor citizen ki member ship ka shouq -kai log tu is qadar budhapa tari kar lete hain ke,kisi qisim ki koi dwa nahi leni ke bus ab tu budhapa hai, bus ab tu chal chalow ka waqt hai,lekin jahan jane ki baat kartay hain os ki tyyari bhi nahin ki jaati waqt TV ya P.C ke aage he guzarta hai mazedar prgrams ke saath ur phir jub itne waqt aik hi position main rehne ke baad jism ka koi hissa ehtejaj karta hai tu report bhi wahin home lab se mil jati hai ke aasal main meri phoppi ko gathya tha na is wajah se asraat tu mujh main aain ge he,ya dada jaan ki wajae ajal ye kumbakht jodon ka dard hi tu tha ab na jaane mera bulawa kab aajai, khala jaani ko shakar aati thi isi lye tu munni ki shakal cheeni jesi hai, motapa tu hamarah khandani hai bhi khate peetay log hain Allah ne khulla rizq dia hai








beshak Allah ne kaha hai ke jo chaho halal ashya main se khao, lekin saath hi etedal per bhi zor dya gya hai ,kahin bhook se kuch kam khaanay ki salah tu kahin is taraf bhi ishara ke bhartay jane wali cheezon main sab se bura pait ka bharte jana hai ,ur jahan tak baat hai moroosi beemaryon ki tu ye khadsha mumkin hai lekin zaroori nahin ur is mumkina khadshay ku bhi sirf aap ki apni zaat per ki gai mehnat, tawajja ur hikmateamli hi na mumkin bana sakti hai, bus khud per yaqeen ur Allah per bharosa hona chahye, reh gai baat tendency ki tu osi se fight karke hi tu ose shikast deni hai-Pochen apne aap se aik sawal ke aap logon ke lye kya banna chahte hain,Ibrat ? ya Misaal?bus tu phir oont ko bandhye ur Allah per tawakkal kijye








aisa nahin hai ke hum sirf apne khane peene ke tareeqon ko bal len tu 100% result mill jai ga ,mazeed behter nataij, work out ke bagher namumkin hain lekin zyada ter log job ki thakan ur bason ki koft se bezar hote hain ,ur ghareloo khwateen ghar ke kaam kaj main surf hone wali tawanai ur waqt ko shumar karte hue kisi bhi qisim ki warzish ke bare main sunna tu kya sochna bhi gawara nahin kartin,ur yhaan ke gharon main kitni stairs hain sara din uoper neechay aana jaana hi kafi hota hai keh ker kinara kya jata hai, halanke zehni dabao,routin life,koft, chidchida pun ,ghussa ur nidhaal si tabyat zara der ke work out se door ho jati hai,tamam fasid maaday kharij ho jaatay hain ur jo baaten shadeed nagawar mehsoos ho rahi hoti hain woh qabile bardasht ho jaati hain ,like every day is a new day ,lekin is nai subha ke lye aap ko jagane wala siwai aap ke koi ur nahin,ur jahan tak baat hai seedhyon (stairs) ki tu yaqeen karen ke in ka maqsade qyam-o-wajood in chhoti arazi ke do teen manzila gharon main ba assani aamad-o-raft ke siwa kuch bhi nahi kyonke jab koi docter bhi aap ko 20 minute warzish karne kehta hai tu woh automaticaly 40 minutes ho jatay hain kyonke ,hamari body ko sirf warm up hone ke lye he 20 minutes darkar hotay hain baqi ke20 phir wazan ko kam karne main shumar hotay hain -jaise hum winter main car ko drive per jaane se kuch der pehlay hi start kar detay hain takay who nasirf behter tareeqe se chalay balkay us ka apna engine bhi safe and last long kare ,lekin agar itni der khdi haalat main gadi ko start rakhne ke baad hum jaane ka irada tark kar den tu siwai gas k zaya hone ur pollution main izafe ke kuch haath nahin aai ga .isi lye kafi log samajh nahin paatay ke 20 minute ki warzish ke bawajood bhi wazan kam kyon nahin ho raha -
TO BE CONTINUED.......










TO BE COTINUED

Monday, July 6, 2009

SADGI/NADANI/GHFLAT PART (02)

Ur waqi work out ke shroo ke 20 tu kya 10 balkay 5/6 minute bhi itne taweel lagtay hain ke insaan sochnay per majboor ho jai ke din bhar ke 24 ghantay kahan chalay jatay hain pata hi nahin chalta , dekha jai tu ye bhi maqame shukr hai kyonke kehte hain sukh ke lamhon ke per hote hain phur se ud jate hain ur dukh ki ghadyan langdi hoti hain guzarnay main bada waqt leti hain....................... Tu agar aap ne apne aap ko raazi kar lya hai work out ke lye tu bas phir kisi bhi DVD ,T.V ya internet se madad li ja sakti hai kyonke gym ko afford karna har aik ke bas ki baat nahin ,haan walk kafi log kartay hain lekin aik tu Canada ka mousam....sari sardi garmyon ka intezar kya jata hai ur garmyon main kabhi barish ,kabhi picnic /party ,tu maire nazdeek walk kabhi kabhi mil jane wala bonus hai lekin walk ke douran log is qader aajzi ur inkisari ka paikar bane hue hotay hain down to earth ,na chin uoper na kamar seedhi na pait ander .....work out ke douraan bhi kafi baton ka khyal rakhna bohut zaroori hai, shroo hamaisha halki phulki exercise se karen ,kam waqt ur kam counting ke saath start karte hue gradualy badhatay jain ,har roz na karen har bar aik si na karen ur aik hi hissay ke muscles ko foran strong karne ki jang na karen tissues zakhmi ho saktay hain ,saath hi jazbati ho kar weight reducing medicines ya totkay na shroo karen warna achanak se kamzori ke baes na sirf kisi bhi beemari ke daboch lene ka imkan hota hai balkay hosakta hai ke phir dobara himmat hi na ho paay, bus slow and steady wali hikmate amli jari rakhen kyonke aik tu aap ko modeling nahin karni ,na he kisi se muqabla hai ke falan ne tu itna kam kar lya ,aap ko health maintain karni hai figure nahin ,aap ke apne ghareloo, nafsyti ,ya muashi masail bhi saath saath he hain ,jinhen aap ko balance kartay hue aagay badhna hai ,ye dekehen ke aap ka apna frame kya hai, small medium .......ya hosakta hai ke aap ki body dair se kisi bhi baat ka asar leti ho is lye fori ya hasbe mansha result na milne per fikrmandi ya dil chota karne ki koi baat nahin, aap ne puri koshish kar li hai tu befikar ho jain Allah kisi ki mehnat ko raigan nahin karta, har bar work out se qabl khud ko zehni tour per tyaar rakhen. subha se lekar zawal ke waqt tak koi bhi waqt zyada tezi se farq dalta hai sham main assar ka waqt bhi isi tarh se faida deta hai ,nashtay se pehlay zyda behter nataij milne ki umeed ki ja sakti hai lekin agar nashta ya khana kha lya jai tu phir teen ghantay ka waqfa zaroor den ,haan work out ke baad kuch bhi khana ho tu 20 minute ka waqfa kafi hai phir koi bhi helthy food istemal karen bus thanda na ho,is tarah kabhi bhi aap ke muscels bohot dard ki shikayat nahin karen ge, baad main garm paani se naha len ye mazeed therapeutic sabit hoga ,sone se qable work out na karen ur raat ka khana hamaisha sone se kam az kam do ghantay pehlay khane ki aadat dalen is se dosra faida ye bhi ho ga ke aap ki samaat (listening) mehfooz rahe gi,aik choti si dua work out se pehle kar lya karen tu INSHAALLAH kabhi bhi unpredictable injury nahin ho gi,balkay har kaam se pehlay kar leni chahye ke "ya Allah mujhay is kaam ki khair ata farma ur is main chupay shar se bacha "ur last main haath, paer ur full body ko stretch out karna kbhi bhi na bhoolen ,warna aap os dard ko kabhi bhi nahin bhool paen ge jo is choti si bhool ka sabab ho ga ur jub apni dard bhari dastan kisi humdard ko sunain ge tu pehlay ye chinese whisper main tabdeel ho gi ur baad main myth bun jai gi ke work ke after efect bohot takleef deh hotay hain, chor do tu pehlay se zyda motay ho jatay hain ,skin latak jaati hai ,muhray sarak jatay hain ,gardan akad jaati hai....................abhi kaam shuroo nahi hua tu chhor denay ki baat -






Jahan tak zyada dard ki baat hai aik tu apna blood count nazar main rakhen takay jo bhi deficieny hai us ki medcation bhi saath main jari rahay ur mazeed behter nataij samne aain ur dosra kisi bhi exercies ke douran running shoes her soorat pehnen ,spinal cord ki koi bhi problem ho tu pehlay hi docter se mashwara kar len, gardan is lye takleef main aajati hai ke jab pait ke lye crunches kye jatay hain tu bajai pait ke muscle per zor dene ke sara zor gardan ko uthane main laga dya jata hai tu phir masoom gardan ka ehtejaj ghalat tu nahin hota.lekin aisi koi bhi ghalati kar baithen tu physio therapy karwane main dair na karen ur onhi se apni ghalati ko sudharne ka tareeqa bhi poch len,tu woh aap ko guide zaroor karen ge.during work out hamaisha naak se sans le kar mon se nikalen,pait ke muscles ko ander kheench kar rakhen balkay ye aam halat main bhi aadat bana len.jub bhi position set ho jai ,chin uoper rakhen ur aankhen khuli rakhen, seedhay rukh per ye naho ke agar T.V dekh rahay hain tu nazren wahin per hon,jub aap ki body ko aadat ho jai warish ki tu phir dheeray dheeray dumbles use karna shroo karain,lekin in ka wazan ur douranya gradually badhaen, ye soch bhi bilkul ghalat hai ke dumbles khwateen istemal karen tu un ke muscles bun jatay hain ,kabhi suna hai ,ke kisi ki bhi naani daadi ya un se pehlay ki khwateen muscular thin ,jab ke kitne hi bhari bharkum kaam sinf-e-nazuk hi anjaam dya karti thin ur mazay ki baat ye ke un ko apni glowing skin paanay ke lye kisi beauti parlour nahin jana parta tha yeh tu is dour ki zarooryat hain ,ur waise bhi ye koi faqua kashi program tu hai nahin is lye inshAllah in se faida he hoga nasirf muscles mazboot honge wazan tezi se kum hoga balkay toning bh hogi...............






Ab kuch baat mazhab ke hawalay se bhi ho jay ,kuch islye ke Islam aik aisa fitri zabta-e-hyaat hai ke aam zindagi se is ko alag kya he nahin ja sakta isi lye kuch baaton ka zikr pehlay aagya ur kuch per aik sarsari nazar daal letay hain ,Jaise hum waqt ko bohut ahmyat dete hain har lehaz se hi ,tu aap aik singr ko le len ya, jogger ko ya athlete ko sab ka kehna yehi hai ke sooraj nikalne se do dhai ghantay pehlay reyaz ka ya kisi bhi mashq ka jo result milta hai woh din ke kisi ur hissay main itna behtreen nahin milta. Islam main namaz ki pabandi per tu zor hai he lekin fajar ka waqt wohi sooraj nikalne se do ghantay qabl,ur fajar ki namaz ka jo swab hai woh kha jata hai ke agar kisi dono haath pear se mauzoor shakhs ko maloom ho jai tu woh bhi ghutnon ur kohniyon ke bal ghisat ta hua masjid pohnchay ga.ur namaaz kitni sirf do sunnat do farz.ur os ke baad bhi sone ko mana tu nahin kya gya lekin saraha bhi nahin gya ,kyon ke ye bada barkat wala waqt hota hai Quraan khud batata hai ke farishtay hazri detay ur quraan suntay ur os per gawahi detay hain, ur ye badi mazaidaar baat hai ke agar aap fajar ke baad kisi wird ke aadi hain tu thoray neend ke khumaar ke baes deewar se tik jaatay hain ....................ur ab sans ki mashq shuroo "deewar se take laga lijye ,naak se saans andar mon se baher" -deen dunya aakhirat sare meter down ya agar Quraan-e-pak parhtay hain tu phir us ka tu tareeqa yehi hai ke teher teher kar ur aik aayat ko shuroo karne se qabl sans adar lena takay puri ayat mukamal ho sakay ur,parhnay ke douran khud hi sans bahar, phir sare meter down (deen ,dunya aakhirat).isi tarah din ki baqi namazon main bhi kai raaz chupay hain ur jaise namaz janat ki kunji hai waise hi wazo namaz ki chabi,jis ke har step main sehat ke raaz chupe hain jis ka aaj science bhi eteraaf karti hai ,ur wazo se pehlay safai ur taharat ki zaroorat hoti hai ,jo najane kitne he qism ke infections se bachata hai ,namaz ke ehtemam ka mutlab,kapdon per istari karna nahin balkay os ki roh ko ur insan ki bhalai se juday hue nizam ko samajhna hai.namaz ka har rukn(step) yoga ke aasan main bhi istemal hota hai ur dono main sajday ki position per bada zor hai ,kyonke is tarah dil o dimagh tak douran khoon kam karta hai .sajday ki asal rooh dil main aajizi laana hai, ur isi aajizi ur taqwa ka sabaq hamain har saal pura aik maheena ramazan main bhi sikhaya jaata hai ,lekin sochne wali baat yeh hai ke har saal, har roz ,ur din main kai baar milne wale in mawaqay se hum kitna faida hasil karte hain, bhagum dour ki namaz , bai giti ki uthak baithak he bun kar reh jaati hai ya waqui koi sajdah is dil ko aajizi bhi sikhta hai ?kya is dil se nafrat kadoorat ur taasub door ho pata hai?ur jo sir sajdeh main jhukta hai us ke neechay ana, ghuroor,bughz keena, ur hasad kuchla jata hai, ya yeh sar kabhi ghamand se khali hi nahin ho pata ?.........such hai ke hum ghuor hi nahin kartay ,na hi shukr kartay hain na he kisi bhi pukhta aadat ko badalne ki nyat tu phir "Peer-e-tasma pa"tu hamri apni he tamaam ghalatyan ,nadanyan, ur chashmposhi hain jin ko aik jaga jama kya jai tu sirf aik lafz banta hai "MUJRIMANA GHUFLT"

Friday, July 3, 2009

A TRIBUTE TO MOTHERS

This is a tribute to every mother,

Alive or dead,

Rich or poor,

In a big city or in a jungle.

Either nice kind and gentle

Or due to stress,going crazy and mentle.

Whether she suffers to raise her kids because

is single,

Or is getting older and ready to mingle.

She is the most precious but ignored,fragile

But the strongest like a miracle.

A heavenly made, un breakable, adorable relation,

A Part From The Leter About Pakistan

A Part From The Leter



............Lakhon muhibbe watan Pakistaani mil kar bhi kya kar sakte hain?dua kar sakte hain, cheekh chilla sakte hain Pakistan main hotay tu shayaed kisi sheeshay ki imarat per pathar bhi mar dete ,lekin aham treen sawal yehi hai ke hum kya kar sakte hain? hamen kya karna chahye?kyonke sirf hum khyal hona ur har mahfil main articles main,murasle main ya radio/TV per kuch bhi bolne se kya halat badlen ge?ya woh log apna khyal badlen ge jinhon ne jamhooryat ke naam per voton main zyada hissedari ki bina per eses logon ko hum per musalat kar dya hai-aik bada tabqa jo apni souch ko kabhi kammi kameen se zyada badha na saka, 18 saal se ooper ka jamme ghafeer jo ke dastakhat tak nahin kar pate lekin Pakistan ki taqdeer likhne per qudrat rakhte hain,(jamhooryat zindabad)kaash ke assembly main bethne walon ki bajai ye B.A paas wali shart votters ke lye rkhi gai hoti,tu girtay padtay ,jhootay sachay,kuch tu hum bahesyat qoum padhe likkhay hotay,lekin aik baat hai ke is se ye kaheen bhi tay nain hota ke sahi logon ko chuntay,pehli baat ke luteray, khudgharz, behiss ur qoum ko let down karne wala koun nahin hai.naam badal jaate hain kaam ,kum ya zyda wohi rehte hain,ur hum buron main behter ko talash karne ki koshish karte hain- dosri baat ye ke awam main hi kitne log aise hain jo ye jaantay hain ke falan party aay gi tu mulko qoum ki nayya bhnwar main hi jai gi,lekin apne zaati mafadat ki khatir ke falan ke aane ke baad hi tu mera do number kaam asani se ho jai ga,ur aache khase log laluch main andhe ho kar dosron ko bhi apni lathi bun ne par uksate hain-is baat ko siray se nazar andaz kar ke k woh sirf apna do number ka phulka nahi saink rahe balke apni qoum ur aaane wali naslon ko aag main jhonk rahe hain---jab Bungladesh alag hua tu os zamane main meri umar itni thi k bacay apna poora naam bhi nahi bata saktay hain, lekin mujhe woh poora dour is tarah se yaad hai ke main notice karti thi ke akhbar aata hai ur mere walid ki kefyat bechaini se lekar tadapnay tak hojati hai-bazoo ka matlab nahin maloom tha maloom kya tu ye samajh se bahar tha ke woh bar bar itni taklif se kyon ye jumla dohratay hain k "hamara bazoo kat jai ga"phir aik din main ne un ko phoot phoot kar rotay hue dekha os waqt sirf hairat hui thi samajh main ab aaya hai, pichlay kuch saalon se ke aisay halaat se jub mulk do char ho tu hobbulwatani kaisi taklif deti hai,ur mere jese us dour ke kitne hi log hon ge jin ke zehnon per ye asrat honge,ur ab jab ke ghar main sirf aik akhbar ke aane ke baad waleden ki baton se bacha kuch andazay lagay aisa dour tu raha nahin,bachay pehle se kaheen zyda zaheen hain osper se media ki toofane battameezi ka cheekhta ua dour,samajh main nahin aata ke aane wali naslen in sare halaat ka kya asar len gi, hum aaj kya kar sakte hain aik aam Pakistani jo ke jehad ke aakhri darjay per bhi mushkil se hi aamal kar paata hai ke"burai ko dil se bura jano"kya hum is ke alawa kuch kar sakte hain?
Aasaab shikan raat sawera kahin nahin
Hai khouf ka andhera ujala kahin nahin
Jalsay jloos rounaquen humdum kahin nahin
Hain lehlahatay khait per gundom kahin nahin
Aisa nahin jahan main musibat kahin nahin
Per apne karen apnon se adawat ,kahin nahin
Zinda hain zindagi ki takoudou main lagan main
Per ab woh befikar sa jiwan kahin nahin
Har dil hai pareshan magar hal kahin nahin
Har lab hai doa go tu asar kyon kahin nahin
Hum hen muslma mher Rab ki hum pe kyon nahin
Hum hi main woh ima ki hararat kahin nahin
Hain lazim o malzoom jab iman ur hya
Hum ne hya ganwa di tu iman kahin nahin
Ima nahi raha tu sharafat kahin nahin
Ehle karam ki nazre inayat kahin nahin
Gar ab bhi na samjhe ke ye sazish nai nahin
Naqshay pe apna naam bhi hoga kahin nahin
(naoozoBillah)

Thursday, July 2, 2009

Baghbani Mashghala Ya Institute

Suna hai ke dewaron ke bhi kaan hote hain ur rung na sirf baten karte hain balke un batoon se khushboo bhi aati hai,yeh tamam baten darasal ehsasat per mubni hoti hain ,jese baghbani ke douran ehsas hota hai ke yeh sirf mashghala hi nahi balke waleden ke lye aik institute hai, kyonke jin batoon ko samjhnesikhane ke lye bade mumalik main idare hote hain subjects hote hain ur din manai jate hain woh sabaq tu ghar ke chote se bagh se hi mil jata hai -shayed is ki wajah woh bunyadi taaluq hai jo dono ki assal hai yaani "Matti"jo ke dono ki assal hai jis ki khanakti hui qisim se insan ki takhleeq hui ur jo zara nam ho tu os main poday panapte hain - baghbani ke taqreebun panch ya chhe khas marahil hain jo ke kabhi tu khushi se sarshar kar dete hain ur kabhi dra bhi dete hain jese ke MATTI KI KHUDAI :ke douran jo ke sub se pehla ur zaroori marhala hai, jub tarah tarah ke rengte ur kulbulate hue kede nikalte hain tu dum nikal jata hai ke satah per hi bagher kisi wajood ke itne kede hain tu?........ur jo baat hamesha maa ne samjhane ki koshish ki woh dharti maa ne forun hi dimagh main dal di ke "ZAMEEN KE ANDAR AGAR SUKH SE REHNA CHAHTE HO TU JUB TAK ZAMEEN KE OOPER HO DOSROON KE SUKH KA KHAYAL KARO"
Beej Bona Ur Qalmain Lagana:beej bone ke baad se nannhi konplon ke nikalne tak ka waqt sabar karna tu sikhata hi hai,lekin jub yeh nikalti hain tu pata chalta hai ke nazuk podon ki takhleeq kari main beej fana ho gya ,os waqt lagta hai ke ye chota sa beej sawal kar ke sharmindah kar raha hai ke kya aap ne apne bachon ki parwarish ki khatir apni zaat, rahat,zid ur ana main koi kami aane di hai? baharhal main tu apni hasti ko mita kar k moutaber ho gya h0n.aam ki qalmen lagate hue aksar kisi syane ki baat yaad aa jati hai ke har shakhs janta hai ke aik aam main se aik guthli nikle gi lekin Allahtaala ye janta hai ke aik guthli main se kitne aam niklen ge.Jab podon ki qalmain lagai jati hain tu oon ka dosri jagah per panapna bohot zyda tawajah talab hota hai ,isitarah jab kisi bache ka school badla jai ya ghar ,wajah koi bhi ho sakti hai lekin woh bacha os wajah ko samajh nahi paata ur dosri jagah adjust hone main oseuljhan ya masail ho sakte hain ,thodi si tawajah ur targheeb se woh is nai mahoul main bhi rach bus jata hai phir aap befikar ho sakte hain - CHOTE PODON KI HIFAZAT:nanhi muni konplen chidyon ki nazar main tu hoti hi hain lekin jese jese ye badh kar podon ki shkal ikhtyar karne lagti hain, sath hi sath in ke ird gird khud rou ghaas wagherah bhi ugne lagti hai, jo nasirf podon ki nashonuma main rukawat dalti hai balke bohot tezi se podon ko khrab karti hai ,in ka roll bilkul wohi hota hai jo kharab ur bigde hui doston ka hamare bachoon ki zindagi main ho sakta hai ,lehaza in per nazar rakhna ur jad se okhad phenkna bohot zaroori hai IQSAAM KE HISAB SE TARJEEHAT:yani fitrat ka taayun karna bohot ahmyat ka hamil hai ke kis poday ke lye paani zyda miqdar main zaroori hai ur kon sa is ki zyadati se kharab ho jai ga ya koun sa poda zyda dhoop ur roushni main behter parwan charhta hai ur koun sa is ki zyadati se jal jata hai, bilkul isi tarahhar bache ka nature jaan kar os ko samjhna zaroori hai kos ke lye kitna pyar munasib hai kyonke zaroorat se zyda pyar bhi os ke lye bigad ki soorat paida kar sakta hai ,ya phir kis had tak skhti ki zaroorat hai ,ur jis tarah tez dhoop podon ko jala kar rakh deti hai osi tarah gher zarori aagahi bhi bachon ko tabah kar deti hai, jis ka aik bohot bada sabub media bhi hai lekin pura ilzam isi per dalna munasib bhi nahi urye aik taweel behes hai ,baaz poday badhatay tu hain lekin oon ka rukh seedha rakhne ke lye koi baans ya sahara laga dya jata hai, ur aik khaas muddat ke baad woh khud hi sedhay badhna shuroo ho jate hain ,ye woh bachay hain jinhen mustaqil waleden ki tawajah ur madad darkar hoti hai, ur waleden ki taraf se ye saport jitni mazboot hogi otni hi jaldi bacha behtri ur khudetemadi hasil kar sake ga,ur jis tarah se behungum badhi hui belen jahd jahnkar lagti hain ur onhi ko agar qureenay ur nafasat ke saath aage badhya jai tu wohi ghar ki zeenat main izafa karti hain, wese hi bachon main mojood achi aadaton ur khuda daad salahyton ko mehsoos kar ke oon ki housla afzai ki jai tu inshaAllah zaroor behtreen nataij baramad honge MOUSAM KI SAKHTI SE HIFAZAT:aandhi aane ke baad jald hi jhuke hue ur tedeh ho jaane wale podon ko durust karna zaroori hota hai ,warna woh isi sorat main barhne lagte hain,isi tarah waleden main achanak ho jane wale ikhtilafaat ya khandan mai kisi bhi qisim ki koi bad mazgi ya sanehay ko tari nahi kar lene chahye kyonke yeh zindagi ka hissa hain, balkay dekha gya hai ke jis darakht ko waqtan fawaqtan kattay chanttay rahen woh nasirf jald hi nai sire se hara bhara ho jata hai balke os ki jaden mazboot ur tana is qabil ho jata hai ke beshumar shakhon ur phalon ke saath chatnaar darakht bun sake, isi lye waleden ko nasirf fori tur per normal ho jaana chahye balke bachon per kisi bhi tarah ke halaat ke baad padne wale muzir asraat ur khuf ko bhi foran door karna nehayat zaroori hai, taake bacha bada ho kar faal kirdar ada kar sake----kyonke darakht chahay sheeshum ka hi kyon na ho agar ada tedha hoga tu siway jalane ke ur kisi kaam nahi aasakta-