Wednesday, July 8, 2009

Sadgi,Nadani,Chshm Poshi Ya Mujrimana ghaflat(01)

Guzishta dinon aik report main bataya gya ke Asians sub se zyada dil ke aarzay ka shikar hotay hain jin main Indians pehle ,Pakistani dosray ur Chinese teesray number per aatay hain-dunya ki baqi qoumon ke saath insanyat ke natay hamdardi hi ki ja sakti hai lekin apnay logon ke lye fikr karnay ka huq ur farz dono he bantay hain-is lye jo kuch bhi mehsoos hota ahi yani hamari khamyan kotahyan ya phir woh behtreen mawaqay jin se hum bharpoor faiday hasil kar saktay hain lekin nazar anaz kar dete hain- bade ikhlas ke saath aap ki nazar hain ur zyda saliqay se samajhne ke lye is ko aagr hum teen hisson main taqseem kar den yani "hamari khoorak", "soch" ur "mazhab' tu Shayad ke tere dil main uter jai meri baat ,kyonke abtak beshumar zaray se aap tak ye baat pohnchi tu zaroor hai ke munasib khain warzish karen..........lekin woh jo bachpan ki baten hain zehen main aisi beth jati hain ke phir hamaisha aap ke sath he rehti hain chahay aap pachpan main pohunch jain ("Baby the more you eat the more you grow"or"the more you eat the stronger you get")ur baby, dady tu kya dada bhi bun jatay hain ur agar khatoon hain tu kamar kamrah ho jai tub bhi lashaori tur per baaz ouqaat is baat ke tabay rehtay hai phir chahay aap ka docter aap ko rokay ya chahnay walay tokain yahan tak ke barson se Aarif Lohar chimta baja baja kar ur Saleem jawaid dhol peat peat ker samjha rahay hain ke "gai jawani mud nai aandi lakh khorakan khayye"lekin zaban ka chaska bhi waqi bri cheez hai,ur ye baat bhi maan ne wali hai ke Pakistani khanay hotay he lazeez hain tu is ka aik aasan sa hal tu aik choti si sunnat per amal bhi hai k khane se pehly pani pyen ur thoda darmyan main bhi saath he koi myyessar ho tu halki phulki gupshup bhi karte rahen ur khane ke baad pani napyen -ye thoda mushkil lagta tu zaroor hai lekin jub adat ho jati hai tu is nuskhay ki ahmyat bhi samajh aajati hai, scientific reason is ka ye hai k hamaray dimagh ko pait bharne ka paigham khane ke 10 minute ke baad milta hai (kitni ajeeb baat hai na ke hum doosron ki tu nyyat tak ko foran bhanp kar koi bhi ilzaam lagane se nahin chooktay lekin hamaray apne he system ka message milnay main hum ko 10 minute lag jatay hain...............is this funny or humiliating?)baharhal khane se pehlay pani peenay se pait us satah tak bhar jata hai ke jis ke baad munasib ur hasbe zaroorat khurak aap ko mutmaeen kar deti hai ur baad main pani na peenay ke baes kuch dair tu ghiza ka zaiqa hi zabaan per rehta hai ur kuch dair baad pya janay wala pani har tarah se faidamand sabit hota hai - nasirf ghiza ke zarye khoon bananay main madad karta hai balke motapay se bhi bachata hai aap ko kisi bhi second helping ya snaking ki zaroorat nahin rehti-




ab agar hum saath main ye ehtemem bhi kar len k maida,chawal, oil ur shakar ka istemal bhi kam kar den.......tu phir reh kya gya? yehi na! jub aap ye cheezen kum karen gai tub he tu pata chalay ga ke qudrat ki kai nematon ko hum siray say nazar andaz kar detay hain ,waisay ye baat tu kafi log mantay hain ke sweet dish ki bajai fruit behter rehte hain ,lekin is per bhi amal karne ka koi faida ya farq is lye nazar nahi aata kyonke waqt ur tareeqa durust nahin hota-agar hum raat ko fruit kha kar so jatay hai tu is ki suggar stay karti hai ur khanay ke foran baad istemal karnay se ye gadbad hojati hai ke khane ur fruit ke hazmay ke lye enzymes alag alag hotay hain ye baat bhi kai log jante hain ke Bar B Q chiken ka istemal dieting main bada karamad sabit hota hai lekin bharpoor zaiqay k lye tu naan ur cold drink ke baghair is ka tassawar bhi mumkin nahin bus tu phir fizzy drink main shamil soda+6tsp suggar ur naan main moujood khameer,shakar oil ur maida aap ko ye sawal karne per majboor kar den ge ke kitni he dietting kar lon lekin na jaane wazan kum kyon nahin hota?ye baat bhi qabile ghour hai ke diet drink dil ke lye zyada nukhsan de hoti hai,ur roti ke bina agar mukkammal khane ka ehsas nahin hota tu chakki ke aate ki roti istemal karen(waise chakki ke aate ki ahmyat tu do teen decades qabl hi jungle jungle phirne wale dakoo "Gabbar singh" ne bhi jaan li thi tub hi tu bechara gaon walon se address maloom kar raha tha k "koun si chakki ka aata khate hain")


hamare baaz khanon main tu chiknai ka bohut hi zyada istemal hota hai-kyonke, qourma tu maza he nahi deta jub tak ke ghee ki do inch moti teh main ghouta zani ke baad tar batar sheer maal boti na nikaal lai,kabhi kabhi tu chalta hai, lekin hamare yhan aksar log aadi hotay hain,nihari, paaye, biryani, pizza, lasagne ur kabhi daal bhi hotu khoob tadkay wali, sabzi ur saag ke saath roti per desi ghee ya makhan-jaain tu jaain kahan-hamara tareeqa ye hai ke bhook zyda ho tu kisi ur tarah is ko kum ya khtum karne ki bajay hum mazeed do roti ya chawal he khana pasand kartay hain is ke alawa na tu hum kuch jaantay hain na hi janna chahtay hain, halaanke mukhtalif ajnass ur daalon ko apne taste ke hisab se kuch raddobadal ke baad istemaal kya ja sakta hai lekin ,jou (oat) ko hum sirf haleem main he dalna jaante hain ooper se tadka, baisan hai tu phir saade pkode aloo ke,palak ke ....... maash ur moog ki daal tu janami hi dahi bdon ke lye hai,(phir deep frying ki maar), gajar ka halwa =irresistable, gulab jamon=unbeatable,koonday ki tikyan=unforgetable-cake ur samoson ke bina sham ki chai udaas lagti hai ,ur chutti ke din nashtay main puri na ho tu subh bakwas lagti hai (wah , wah .....)aisi kai cheezen hain jin ko hum chah kar bhi poori tarah se tark nahin kar saktay,kyonke bachpan sehamare taste buds in zaiquon ke aadi ho chuke hain ,haan do tarah se samjhota kya ja sakta hai, aik tu oil kam se kam kar ke(kuch guide lines alag se de don gi take khana pakane se jin ka taluq nahin hai woh bore na ho jain) ur dosra kum miqdaar main kha kar yani hamari plate ,khanay ke pahadi silsilon ki bajay maidani ilqa lage ,waise bhi jub hum kum khana lete hain tu plate ko achhi tarah se saaf karte hain ,jis se aik tu nasifr khana zaya karne se bach jatay hain balkay zyda ghizzayat bhi paatay hain kyonke tamam ghizaiyat tu plate ki satah per he teher jaati hai ,tu jub poori plate ssaf kartay hain tu nasirf thodi khurak main hi mukammal ghizayyat milti hai balke buzurg kehtay hain ke plate dua deti hai ke ya Rab jese is ne mujhe saaf kya tu gunahon se ise saaf kar day.is tarah khana khanay k baad bhi fresh feeling rehti hai,tu phir kya faida aise maze ka jo waqti tur per tu achha lage lekin baad main tabyat sust, bojhal ur nidhal ho jai ..Agar aap ko baar baar bhook lagti hai tu ek do baar bhook lagne per pani pi kar dekhen kyon ke kai bar dimagh ko pegham ghalat milta hai hamain zaroorat pani ki hoti hai ur bhook ka signal paatay hi hum khana shroo kar dete hain,ur hamare gurday bezaban, becaray pani ka intezar hi kartay reh jatay hain -koi masroofyat ya mashghala dhoond nikalen ,ya gum khain ur suggar bhi test karw len -docters kehtay hain ke apni aik din ki calories ko kum uz kum panch hisson mian taqseem karen taake na hi bhari pun ka ehsas ho na hi craving pareshan kare -jub ke hakeem hazraat is per muttafiq hain ke khana tub hi khain jub khoob bhook lage, ghee ur makkhan k apni zindagi se bilkul hi alag na kar den ke phir aanten khushki ka shikar ho jaain jo ke bazaate khud bohot sari tkaleef ka paishkhema sabit hoga -aur bar bar khate rehna bilkul aisa hai jaise koi aik hi bartan main chawal uobalay phir os main mazeed kache chawal daal de phir kuch ur chawal daal de tu nahi pehle wale cawal kisi qabil rahen ge na hi baad wale gal saken ge -ub ye aap per munhasir hai ke aap ko koun sa formula apne lye behter lagta hai ---waise filling ke ehsas ke lye hazaron khoobyon wali aik herb ispoghol bhi hai lekin is ka tareeqa-e-istemaal durust hona chahye yani 1tsp se le kar 2tbsp tak jitna aap ka hosla ur zaroorat ho aik cup kafi garm doodh ya pani main dalen ur kuch der os ko phoolne den jub kheer jesa ho jai tu pi len jin logon ka pait mustaqil kharab rehta ho woh thnde pani ya kisi bhi mashrob main le sakte hain -yahan aap ke zehen main ye sawal zaroor aa sakta hai ke ye neem hakeem khatra-e-jan koun hain jo mustaqil apne muft mashwaron per aamal karne per zoor de rahi hain, koi docter?, koi hakeem?nutritionist ya dietition? tu jawab hai ,ji nahin in main se koi bhi nahin, lekin aaj ke itne maloomati dour main aik biwi aik maa ko itni maloomat tu honi hi chahyen ur waise bhi hamare buzurgon ne hamesha inkisaari ka dars dya hai azeem sufi shayer Baba Bulleh shah ko hi dekh len itni qablyat ke bawjood kehtay hain ke "ki jaana main koun" tu phir meri hasti hi kya hai -kher hum khoorak ki baat kar rahe thay ur kum khane ki tu hamari baaz khwateen aksar shikayat karti nazar aati hain ke main tu zyada khana leti hi nahin phir bhi na jaane kyon wazan badhta hi ja raha hai tu "naiki kar darya main daal" ke masdaaq woh us khane ko kisi hissab main nahin rakhtin jo woh naik nyati ke saath is khouf se ke bachon ka chora hua khana zaya hoga, gunah hoga tu woh "voluntairily" kha leti hain , nap ya qeloola bohot faidamand hota hai lekin sirf 20 minute tu agar bachon ke saath raat ki neend poori nahin hui tu os waqt poori kar leti hain ,bus yahan thudi gadbad hojati hai ---------
khorak per kafi baat ho gai ab hum Amm Zinagi Main Hamari Soch :per bhi aik nazar dalte hain -family values ke hisab se tu ye badi achhi baat hai k hum apne buzurgon ke kaam aage badh badh kar karte hai balke onhen karne hi nahin dete lekin ye baat un hi ke lye nukhsaan ka baes bun jati hai, dheeray dheeray un ke muscels nakara hone shroo hojatay hain ur musalay khaday hona shuroo ho jaatay hain, woh becharay khud ko nakarah ur boujh samajhne lagte hain agar deppretion main chalay jain tu nikalna mushkil ho jata hai, is lye nasirf un ko maqdoor bhar kaam karne den balke hosla afzai karte rahen. buzurg chunke afzal hain is lye pehlay tu ho gai un ki baat, ab un ki karte hain jo seedha jawani se budhapay main chalang lagane ka shouq rakhte hain na jaane kyon zindagi ki door ko itni tezi se kheenchna chahtay hain ke middle age jesay sunheri dour ka maza hi kirkira kar lete hain halan ke uomooman is dour main hamaray yaahan ,hum apni zindagi ke tamam marahil nimta chuke hotay hain, shurooat ke ikhtilafaat,bachon ki paidaish se lekar un ki parwarish ,parhai main madad ur har waqt nazzar rakhna un ki teemardaryan karna. middle age ka dour tu bilkul midway resturant ki tarah ka hota hai jahan aap pichhlay safar ki thakan ko door kartay hain apni gadi ko har tarah se theek kartay hain ur phir se fresh ho kar nai sire se safar ka aghaz kartay hain (with a positive approch)-lekin hamare yahan aksar ghron main ye jumlay ada kye jatay hain ke ,"bhai ab tu shaadi ho gai ab kis ko dikhana hai ? Allah ko ? tu yaqeen karen ke agar aap ki niyyat ye ho ke Allah ke shukr ke tour per , os ki ata ki hui sehat ur jism ka aap khyaal ur hifazat kar rahe hain tu ye bhi naiki hi hai ,ur agar aap ka irada ye hai ke aap sirf dua tak hi mehdood nahin ke "YA Allah mujhe kisi ka muhtaaj na karna "balke is ke lye puri koshish bhi karen ur bajai is ke budhapay main log aap ki madad karen aap khud logon ke kaam aain ya kam az kam apne hi kar paaen phir woh alag baat hai ke taqdeer main hi koi aazmaish ya imtehan aajai ,(Allah taala humsab ko aafaton ki mushaqqat ur aazmaishon ki sakhti se mehfooz rakhe AMEEN)...............................Bahar haal shadi ke char panch saalon ke baad se hum apna khyal rakhna dheeray dheeray kam kartay huye bilkul hi chor dete hain ,kapday tight hone lagtay hain tu aik do number ka size zyada le lete hain ya silwate hain tu faqat yehi tu kehna hota hai ke "master saab "zara" do inch lose rakhye ga" (isn't that odd time to lose your own weight?) khawateen tu phir bhi baqoul shayer "Jo Bhi Kuch Hai Muhabbat Ka Phelaaaow Hai) ke zumray main aati hain lekin mard hazraat?,insaan waqi bada hi jald baaz hai, hum bachay hotay hain tu baday hone ka shouq, baday hue nahin ke shadi ka shouq,ur shadi hui nahin ke apne bachon ka shouq ur ginti ke itne pakkay ke 39 ke hue nahin ke sineor citizen ki member ship ka shouq -kai log tu is qadar budhapa tari kar lete hain ke,kisi qisim ki koi dwa nahi leni ke bus ab tu budhapa hai, bus ab tu chal chalow ka waqt hai,lekin jahan jane ki baat kartay hain os ki tyyari bhi nahin ki jaati waqt TV ya P.C ke aage he guzarta hai mazedar prgrams ke saath ur phir jub itne waqt aik hi position main rehne ke baad jism ka koi hissa ehtejaj karta hai tu report bhi wahin home lab se mil jati hai ke aasal main meri phoppi ko gathya tha na is wajah se asraat tu mujh main aain ge he,ya dada jaan ki wajae ajal ye kumbakht jodon ka dard hi tu tha ab na jaane mera bulawa kab aajai, khala jaani ko shakar aati thi isi lye tu munni ki shakal cheeni jesi hai, motapa tu hamarah khandani hai bhi khate peetay log hain Allah ne khulla rizq dia hai








beshak Allah ne kaha hai ke jo chaho halal ashya main se khao, lekin saath hi etedal per bhi zor dya gya hai ,kahin bhook se kuch kam khaanay ki salah tu kahin is taraf bhi ishara ke bhartay jane wali cheezon main sab se bura pait ka bharte jana hai ,ur jahan tak baat hai moroosi beemaryon ki tu ye khadsha mumkin hai lekin zaroori nahin ur is mumkina khadshay ku bhi sirf aap ki apni zaat per ki gai mehnat, tawajja ur hikmateamli hi na mumkin bana sakti hai, bus khud per yaqeen ur Allah per bharosa hona chahye, reh gai baat tendency ki tu osi se fight karke hi tu ose shikast deni hai-Pochen apne aap se aik sawal ke aap logon ke lye kya banna chahte hain,Ibrat ? ya Misaal?bus tu phir oont ko bandhye ur Allah per tawakkal kijye








aisa nahin hai ke hum sirf apne khane peene ke tareeqon ko bal len tu 100% result mill jai ga ,mazeed behter nataij, work out ke bagher namumkin hain lekin zyada ter log job ki thakan ur bason ki koft se bezar hote hain ,ur ghareloo khwateen ghar ke kaam kaj main surf hone wali tawanai ur waqt ko shumar karte hue kisi bhi qisim ki warzish ke bare main sunna tu kya sochna bhi gawara nahin kartin,ur yhaan ke gharon main kitni stairs hain sara din uoper neechay aana jaana hi kafi hota hai keh ker kinara kya jata hai, halanke zehni dabao,routin life,koft, chidchida pun ,ghussa ur nidhaal si tabyat zara der ke work out se door ho jati hai,tamam fasid maaday kharij ho jaatay hain ur jo baaten shadeed nagawar mehsoos ho rahi hoti hain woh qabile bardasht ho jaati hain ,like every day is a new day ,lekin is nai subha ke lye aap ko jagane wala siwai aap ke koi ur nahin,ur jahan tak baat hai seedhyon (stairs) ki tu yaqeen karen ke in ka maqsade qyam-o-wajood in chhoti arazi ke do teen manzila gharon main ba assani aamad-o-raft ke siwa kuch bhi nahi kyonke jab koi docter bhi aap ko 20 minute warzish karne kehta hai tu woh automaticaly 40 minutes ho jatay hain kyonke ,hamari body ko sirf warm up hone ke lye he 20 minutes darkar hotay hain baqi ke20 phir wazan ko kam karne main shumar hotay hain -jaise hum winter main car ko drive per jaane se kuch der pehlay hi start kar detay hain takay who nasirf behter tareeqe se chalay balkay us ka apna engine bhi safe and last long kare ,lekin agar itni der khdi haalat main gadi ko start rakhne ke baad hum jaane ka irada tark kar den tu siwai gas k zaya hone ur pollution main izafe ke kuch haath nahin aai ga .isi lye kafi log samajh nahin paatay ke 20 minute ki warzish ke bawajood bhi wazan kam kyon nahin ho raha -
TO BE CONTINUED.......










TO BE COTINUED

No comments:

Post a Comment