Proof Reading
hamara pados kafi barounaq ur multi cultural hai log nasirf ek dosre se achi tarah milte hain balke kaam bhi aate hain-isi lye kal sham jab meri chines padosan mujhe dekh kar bade taapak se badhi tu mayn wahin samajh gai k zaroor mujh se koi kaam hoga,khne lgi k ek favour chahye,mujhe subha k lye presentation tyyar karni hai ,buhut sare kaam hain ur report per bhi ek nazar daal kar use theek karna hai,kya meri report ki proof reading kar do gi-abhi main dimagh main inkar k lye koi bahana talash kar k mon kholne hi wali thi k,os ne jhut se mere hath main kuch kaghzat thma dye ur apni chines type english main mujhe batane lagi k tumhen pata hai na k main waste management main kaam karti hoon, hamara idarah bhiaaj kal kafi khsare main ja raha hai tuis lye humari management ne kuch logon se mashwarah ky k kya kya jai,tu tay ye paya k oon mumalik per tehqeeq karni chahye jahan ye idaray nukhsan main nahin ja rahe ur phir oon k usoolon per amal karna chahye ,tu meri company ne mujhe Pakistan bheja tha main wahan reh kar reasearch kar k aa rahi hon-Pakistan ka naam sunte hi herat, tajasus ur kai mile jule jazbaat jaag gai ur main "padosi k bde haqooq hote hain "keh kar woh papers le kar ghar aa gaee, ur foran padhna bhi shuroo kar dya -likha tha -ur badi tafseel se jaise koi diyari ya dost ko khat likhta hai -------
Boss floght bdi achi thi ,waqt per pouhonch gaee ,saaman le kar bahar aai tu aik taxi wale k haath main apne naam ka placard dekh kar kar os kibadi umda si taxi main beth gaee, suna tha k garmi buhut hai lekin A/C main pata nahin chala ,phir mujhay laga ke main yaha per aa ke kafi important ho gai hon kyo ke kisi ehem shakhsyat ke hifazati dastay ki tarah mustaqil aik car aur aik motor cycle meray peechay thay ,ur maira driver tha tu local hi lekin, garmi ka phir bhi aadi maloom nahi ho raha tha .A/C ke hote hue bhi na jane kyon paseenay paseenay ho raha tha ,phir aik trafic signal per moter cycle walay ne shayad rasta maloom karne ke lye meray car ke sheeshay otarnay ki darkhwast ki tu har taraf pheli hui dhoonen ,petrol ur desel ki boo ,se achanak mud bhaid hone ki wajah se mujhay shadeed vomit ho gai, zara sanbhli tu motor cycle walay becharay ochaltay kodtay na janay kahan chalay gai,lekin pata nahin kyon mera driver kafi fresh sa lag raha tha ,kehnay laga ke madam aap kis kaam ke silsilay mai yahan aai hain , main ne bataya ke main tum logon se seekhnay aai hon ke kistarah kam kharch ur munasib tareeqay se kachray ko thikanay lagaya jata hai,tu itna hansa ke hanstay hanstay us ki aankhon main aa gai- rastay hi may main ne dekha ke kuch bachay aik kachray ke dher se recycle karnay wali cheezain nikal kar alag kar rahay hain ,mujhay badi hairat hui ke apnay school ke community hours ko poora karnay ke lye in ko koi aur social service nahin mili,ur na paon main jootay na haathon main gloves aur na hi mon par mask (tough guys),main ne driver se kaha ke tumharay yahan tu bacha bacha social work main laga hua hai tu kehnay laga ke madam ye kachra chun ne walay bachay waste management ko khasaray se bachane ke lye kam pad rahay thay tu in ki tadaad barhanay ke lye abhi haal hi main bohot saray school tod dye gai hain ...........(boss kya hamain bhi apnay idaray ko bachanay ke lye is asool ko apnana parday ga ),bahrhal hum apni manzil ki taraf rawan dawan thay ke mujhay yaad aaya ke jo bachay recycleables otha rahay thay os main papers nahin thay ,main ne ye baat driver se poochi tu phir se hansne laga,phir bola ke madam ye jo news paper hai ye hamaray baday kaam ki cheez hai,naya tu phir itna karaamad nahin hota jitna ke purana ho kar kaam aata hai,jaise zinda hathi lakh ka ur mara hua sawa lakh ka ,sheeshay saaf karnay hon ya aaina ,roti lapait kar deni ho ya pakoron ka tail nitharna ho,phalon ki paiti main teh lagani ho ya choti moti cheezon ke lye podyan banani hon sab ke kaam aata hai phir thoda udaas ho kar kehnay laga ke hamaray yahan tu parindon ke pinjron ke neechay bhi ur poultry farms ki bichali ke lye bhi akhbaar hi istemaal hota hai ,tu main ne kaha ke itna udaas hone wali kya baat ahi ,tu kehne laga ke madam in main aam insan ki deeni maloomat ke lye har roz Quran -o -hadees shaya hotay hain ur saath hi taakeed ki jati hai ke in ka ehtram karen lekin ur hamaray aksar log na hi is se ilm hasil kartay hain ur na hi is ke ehtram ki hidayat per amal kartay hain , parhay likhay gharon hi main tu akhbaar aata hai lekin on main se bhi aksar log is ko dasterkhwan bana kar is per khana khatay han ur phir disposible paper ki tarah gali main phenk detay hain ,yehi parhay likhay log ya tu khud ya phir on ke ghar kaam karne walay unparh log bina islami safhaat ko alag kye in ko mazeed jahil logon ko bech detay hain ,mujhay ek dum se khayal aaya ke in baton per tu ye log dosron ki aisitesi ker dete hain tu main ne driver se poocha ke kya koi non muslim aisa karay tu tab hi tum logon ko shor machna farz hai ya phir arabi ke alawa kisi ur zaban main deen ki baaten likhi hon tu un ka ehteram kam ho jata hai.kehnay laga ke madam ji hum itnay parhay likhay hotay tu kya hi baat thi ,isbaat ka jawab tu koi aalim hi de sakta hai ,main ne is baat ka jawab har soorat main maloom karnay ke lye mukhtalif olma ke number lay ker jub on ko phone kya tu.... on ke phone band thay .........(boss phone tu os waqt bhi band thay na jab lal masjid.....................)ur jab doosray group ko phone karnay ki koshish ki tu pata chala ke woh log kisi zaroori kaam se dharna dye baithay hain ,boss ye dharnay walay kya laal masjid ke waqt per kisi os se bhi zyada zaroori kaam se dhrna dalay baithay thay ke itni badi tadaad main honay ke bawjood bhi in main se koi aik bhi os jaga dhrna na daal saka ........khair ye in ke androoni muamlaat hain ,kuch ur aagay chalay tu toofani jangojadal chal raha tha ,mujhay bataya gya ke ye wukla ki hadtaal hai ,poocha kis lye tu bataya is lye ,pocha kyoon tu bataya yoon ke is ke baghair ye mulk chal hi nahin sakta ,ur ye zaroori hai ur ye is lye zaroori hai ke ................................boss ,itni lambi tafseel ke baad main soch main par gai ke jab main school main religions parh rahi thi tu main dil se moutarif thi Islam ki ke adal ki khatir kitni choti choti baaton per bhi insan ko dhyan dilaya gya hai ke koi badi baat roonuma hi na ho ,bada behtreen jumla meri nazar se guzra tha ke ,har aik ke zimmay ,dosron ke lye faraiz hain agar woh theek tareeqay say ada hotay rahaen tu kisi ka bhi haq nahi mara jai ga .Yahan tu samajh hi nahin aaraha hai ke koun kis ka haq chheen raha hai ur koun apna farz nahin ada kar raha - main is se aagay ja nahin saki lekin taxi walay ne bataya ke wahan jaa kar bh aap ko kuch nahin milay ga kuch kaghzi dastawayz ,jin per sirf kharchay darj hongay amdani nahin ,ginti ke kuch truk hongay jaisay fire department ke paas hain ,chand aik,aag tu lagti hi nukhsaan honay ke lye hai ,ab os ko bujhanay ke lye baday baday fire truk khareed kar is idaray ko khasaray main kyoon dalen our phir os ne mujhay as a fare well gift ,bohot hi khoobsoorat ur qeemti ,hand made vase dya bareek naqshonigar se saja hua ur baday fakhar se bola ke hamaray yahan paper ka aik istemal yeh bhi hai ,lekin ye qeemti hargiz nahin hai aap is ko anmool samajh len .........what a waste of art...............
is tamaam soorate haal ko parhnay ke baad main is soch main par gai ke dunya hamain media ke zarye dekhna chahay tu bhi humari actual values ko nahin jaan paati ur koi hamain qareeb se dekhna chahay tu woh kya aaj hum khud bhi apnay aap se khush nahin mutmaien nahin ,ek shadeed khouf ur bezari ki kefyat main sab hi mubtila hain ,Shayed, balkay yaqeenan is lye ke hum ne apna poora focus os taraf kar dya hai jahan tak na hi hamari apni pohonch hai na hi hamari aawaz tak ki rasai ,ur jo baten dastarus main hain on ko ahmyat de kar koi strategy bananay ke bajai siray say hi nazar andaz kar dya hai -hmari rooh hum se mustaqil kuch kehnay ki koshish kar rahi hai ur hum ani masroofyaat ke baes os ko unsuna kye ja rahay hain ,jaisay koi bezubaan janwar apnay malik ko kisi pesh aanay walay khtray se aagah karnay ke lye koi soorat dhoond raha ho osay hoshyar karnay ki ur malik samajh kar hi na day ta waqtay ke museebat nazil hi ho jai ..............ye baat ek bohot hi aam si rai ki hesyat ikhtyaar kar rahi hai ke ,Pakistan ke taqreeban har ghar se hi log aakar mukhtalif maghrabi mumalik main nasirf aabad ho gai hain balkay on hi main rach bas ka kafi modernaized bhi ho gai hain , isi lye Pakstan main basnay walay on ke aziz oaqarib bhi status ko maintain karnay ke lye apnay tour per "brod minded ho rahay hain ...Ab is soch ke peechay kitna such hai ur koun kitna qusoor waar ,ur is ke sudhar ka kya tareeqa ho sakta hai ye hamain koi bhi hukoomat nahin samjhai gi ,ur na hi koi saahab bahal hotay hi jaadoo ki chari ghooma kar saab theek kar den ge ,ye apnay tour per sab ki zimadari hai ke har os paapi piedpiper ko pakren jis ki dhun per hamari poori nasal hi andhi taqleed karti hui chali ja rahi hai ,apnay pairon talay rondtay ,kuchaltay hue sab hi aqdar aur on qurbanyon ko ,jo Islami mulk ke husool ke lye barson se ab tak di gain,soft image ke nauray ne aik badi taudaad main larkon ko ajeeb sharmeela ,lachkeela, jameela ,shkeela type kar dya hai ,aur Pakistan main kitnay hi ups and downs aai hon lekin,aik cheez jis ne taraqi ki hai woh hai fashion industry. jidaat ur rozgaar ke mawaqay tak tu bohot achi baat hai lekin kya fashion ke naam per jab tak behayai nahin hogi tab tak ye chal hi nahin sakti ?jaisay log ye samajhtay hain ke sood ke baghair banking nahin ho sakti .aur agar kisi class ke log pehlay se hi beqaboo thay ab zyda aur khulay bandon ho gai hain tu dosray gunpoint per is bhed chal ka shikar kyoon nazar aatay hain,kya koi etedaal ka rasta hi nahin kyokay,extremism ke do juda groups ke sabab ,tu dono ke aapas main takrao ur nafrat ka khadsha hai ke,deen aur dunya ko bilkul juda kar ke aik dosray ko moride ilzam tehratay ur begani, tanzya nazroon se hi dekhtay rahen ge ,aur soorate haal yoon ho gi ke aik tabqa jis qadar tezi ur behisi se tehzeeb ke dairay ko phalangay ga dosra otni hi shidat se jazbati ho kar sakhti ke saath is fitnay ko dabanay ki koshish karay ga ,aagar kisi soorat ye baat tasleem kar bhi li jai ke wahan ke log humari pairvi kar rahai hain tu pehlay apay tour per hi "naiki ka hukum karo ur burai se roko "per amal karnay may bhi koi muzaiqa nahin,aur ab ye dour tu raha nahin ke buzurg naseehaten karen ur bachay nasirf dhyan se sunen balkay os per amal bhi karen ,is lye maghrabi mumalik main basnay walay hamaray bachay he on ke lye behtreen role modle ho saktay hain bazahir ye dohri zimmedari lagti hai lekin "har musalman aik deewar main chuni hui ient ki tarah hai ke aik bhi jaga se hati tu poori dewar ke dhay janay main waqt nahin lagta"aur nai nasal yahan ki ho ya wahan ki hai tu hamara hi mustaqbil ur asasa ,
kya Pakistan baat kartay hue ye baat bhi ki jaasakti hai ke wahan per rehnay walay apnay atraaf main nasamajh logon ko islami ouraq ki hurmat per mutawajjah karen,aik report pichlay dinon T.V per dikhai gai ke kis tarah aik idaray ki ghaflat aur jahalat ki bina per pooray boseeda ouraq ur safhaat jin ki hurmat ke lye jaan di bhi ja sakti hai ur li bhi ja sakti hai aur.......................samajh nahi aaraha ke takleef ,nadamat, ur gunah ka ehsas is tafseel main jaanay se rok raha hai , lekin ye baat bhi samajh aarahi hai ke is qadar tezi hum tanazzuli, aur abtari ka shikar kyo hotay chalay ja rahay hain ke jis din koi bum dhamaka nahin hota os din koi qudrati aafat hi naazil ho jaati hai ,aur hum kitne he in mumalik main rach bas jain lekin hamari ,aqdar wohi hain hamari bunyaad wohi jaan ,pehchan shanakht wohi hai,Pakistan.
ek baar bohut he achhi baat suni jo zaroor,share karna chahoon gi kyokay achhi baat bhi sadqa hai ,ur ye kai saal pehlay ki baat hai jab hum kafi log is ko sun rahay thay ur jin logon ne bhi apni apni toufeeq ke mutabiq is baat per amal kya on ki kamyab zindagi ka raaz is ke alawa kuch aur ho nahin sakta "Allah taala ne Quran-e-pak(matter)ki hifazat ka wada kya hai aur beshak Allah apnay waday ke khilaaf nahi karta ,is lye ab tak Quran apnay asli matan main hai nasirf matter balkay zaban bhi , hum dunya ki kisi bhi book ki copies bana len ya C.D waghera kuch bhi lekin barson baad woh language hi badal jaati hai jis main woh likhi gai ,is se pehlay ke saheefay logon ne badal dye dosri aasmani kitabon ke lye quraan khud batata hai ke logon ne aayat ko badal dene ka soda kya ,lekin Allah ki hifazat ki wajah se na hi quran-e-pak ka arabi matter badla na hi arabi zuban main he koi tabdeeli aai hai ,woh jaise boli ,likhi ur parhi jaati thi aaj bhi wese hi hai ,dunya ki koi kitaab aisi nahin jo unginat logon ko poori ki poori zubani yaad ho ,ur agar aqal thoda sa sath day ,khud apni hifazat ,chahtay hon tu apnay aap ko is kitaab se os tarah jor len jesa ke os ka haq hai,ke nasirf is ko parhen balke samjhen ghour aur amal bhi karen ,is ki hurmat ka khas khyal karen "..........................aur ab jab baat ho he rahi hai hamari gherzimmedari aur zoom lences ki jo hamain nazdeek tareen dekhne he nahin dete tu aik choti si baat insaf ,insaf aur bohot baday paimanay per insaf ki bhi ho jai ke aam admi aur grass root se shru hota hai koi bhi bada kaam (achha ya bura) woh aagay badhta hai ,hum apnay tuor par jo insaf kartay hain os main ye hota hai ke jab bhi aziz oaqarib main koi ikhtilafi baat ho tu hum taqatwer ka haath burai se rokn ki bajai ,kumzor ko apna kandha dedete hain jis per woh sar tika kar dhaden mar ,mar kar apna ji halka kar leta hai aur hum naiki samajh kar -...................behtreen ur har dour main qabil-e-amal qanoon-e-virasat Quran pak ne hamain bataya aur Pakistan main bhi yehi raej hai ......lekin is per amal kitne log kartay hain ,har dosray ghar main is ko apnay hisab se mod dya jata hai ,jab ke is main apnay tour per tabdeeli ki koi gunjaish hai he nahin ,bohut zyda gunah hai ,jo ke bohut se logon ko pata he nahin hai,ur jo jaantay hain on main se kitnay hain jinhon ne on behnon ko samjhaya ho jo bakhushi apnay haq se voluntorily dastberdar ho gain ke hamari shadi per kharcha tu bhayon ne kya tha ,ya on maon ko jo betyon ko samjhati hain ke bhayon ke haq se dastberdar ho jain (,is baat se bilkul ghafil ke on ka ye amal on ko Allah ki adalat main kitni mushkil main daal day ga ).ya on bhayon ko jin ke naam baap ne apni zindagi main he main tamam jaidad kar di aur rukhsat hui behnon ke hissay main kuch nahin ,ye baat na tu lalach ki hai na he hawise zar ki ,aur kyon ur kyon har soorat dosray ko os ka haq dya jai ,koi tabdeeli khud se na ki jai ,ye saab bohot taweel hai behter ye hai ke kisi achhay aalime deen se is per maloomat hasil ki jain takay agar kisi qisim ki koi ghalati ho he gai hai tu os ko sudhara ja sakay, apnay hissay ka insaf kya ja sakay ,tab ja ke insaf dheray dheray hosh ur wajood main aai ga ,sadkon per tyre jala ke aur aik dosray se dast-o-greban ho kar tamasha tu ho sakta hai insaf nahin ,agar himmat kar kay apay atraf main apni istetaut ke mutabiq apnay ird gird ke logon ki tarbyat ur apni khud ki tarbyat main kuch kadway ghoont pi kar behtari lane main kamyab hojatay hai tu Allah per poora yaqeen rakhen ke eoh hamari nyyaton ki barkat se hamari mushkilat ko door farmaiga,.....................INSHALLAH
Tuesday, June 30, 2009
how i strated blogging.......
BISMILLAHERRAHMANERRAHEEM
kafi arse se mukhtalif domestic mozouat per likhti rahi lekin kabhi publish nahi karwaya kuch articles mehfooz rahe kuch khud hi tulf kar dye,phir zindagi main kuch fursat mili tu socha k nouumar larkyon k lye ek kitaab likhi jai "From Teen To 80s"kyonk mere khyal main kisi bhi khandan main ghar ko bana kar rakhne ka 9o% credet aurat ko hi jata hai, agar halat sazgar hain tu woh asani ,izzat ur khushi k sath har rishte ko nibhati hai ,ur khudanakhwasta bure halat hon tub bhi mushkilon se lad kar, izzate nafs ko kuchal kar,taklif seh kar bhi ghar aurat hi banati hai.baaqi 10% main mard hazrat ka kirdar,unhoni ya qismat sab shamil hain.bharhal ye kitaab wala idea bhi drop kar dya, phir ek din monthly magzine community links main shena saqib ko Pakistan k halat per kudhte hue ek khat likha, unhon ne reply kar k pocha k kya aap likhti hain?ur kya hamare akhbar main likhna chahen gi?tu main ne kuch articles bhej dye,kud shena saheba ne bhi ur qareen ne bhi buhut husla afzai ki,in tamaam khawateen-o-hazrat ka bhi shukrya ur oon sab ka bhi jin ko urdu samajh main tu aati hai lekin parhni nahi aati,onhon ne kisi se sune ur oon hi ki pur zor farmaish ur hosla afzai k baes blog per roaman main likhne ka silsila shroo kya hai, Allah se dua hai k kisi ki dil azari na ho ur main is k zarye apnay maqdoor bhar kisi tak koi kaam ki baat pohncha sakoon,shayed kisi article k zarye kisi k lye koi asani ho jai.Allahtaala hum sub ki mushkilat ko door kar k aafyat farmai (Ameen)
kafi arse se mukhtalif domestic mozouat per likhti rahi lekin kabhi publish nahi karwaya kuch articles mehfooz rahe kuch khud hi tulf kar dye,phir zindagi main kuch fursat mili tu socha k nouumar larkyon k lye ek kitaab likhi jai "From Teen To 80s"kyonk mere khyal main kisi bhi khandan main ghar ko bana kar rakhne ka 9o% credet aurat ko hi jata hai, agar halat sazgar hain tu woh asani ,izzat ur khushi k sath har rishte ko nibhati hai ,ur khudanakhwasta bure halat hon tub bhi mushkilon se lad kar, izzate nafs ko kuchal kar,taklif seh kar bhi ghar aurat hi banati hai.baaqi 10% main mard hazrat ka kirdar,unhoni ya qismat sab shamil hain.bharhal ye kitaab wala idea bhi drop kar dya, phir ek din monthly magzine community links main shena saqib ko Pakistan k halat per kudhte hue ek khat likha, unhon ne reply kar k pocha k kya aap likhti hain?ur kya hamare akhbar main likhna chahen gi?tu main ne kuch articles bhej dye,kud shena saheba ne bhi ur qareen ne bhi buhut husla afzai ki,in tamaam khawateen-o-hazrat ka bhi shukrya ur oon sab ka bhi jin ko urdu samajh main tu aati hai lekin parhni nahi aati,onhon ne kisi se sune ur oon hi ki pur zor farmaish ur hosla afzai k baes blog per roaman main likhne ka silsila shroo kya hai, Allah se dua hai k kisi ki dil azari na ho ur main is k zarye apnay maqdoor bhar kisi tak koi kaam ki baat pohncha sakoon,shayed kisi article k zarye kisi k lye koi asani ho jai.Allahtaala hum sub ki mushkilat ko door kar k aafyat farmai (Ameen)
Subscribe to:
Posts (Atom)